alag hain ham ki juda apni rah-guzar men hain
vagarna log to saare isi safar men hain
hamari jast ne mazul kar diya ham ko
ham apni vus.aton men apne baam o dar men hain
yahan se un ke guzarne ka ek mausam hai
ye log rahte magar kaun se nagar men hain
jo dar-ba-dar ho vo kaise sambhal sakta hai
tiri amanaten jitni hain mere ghar men hain
ajiib tarah ka rishta hai paniyon se ‘malal’
juda juda sahi sab ek hi bhanvar men hain
Leave a Reply