• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / ghaT Gai Hai Qadr-O-Qimat Aaj Ke Insan Ki

ghaT Gai Hai Qadr-O-Qimat Aaj Ke Insan Ki

ghaT ga.i hai qadr-o-qimat aaj ke insan ki

ham pe ghalib ho ga.iin makkariyan shaitan ki

jis tarah bhi dekhiye dahshat ka ik mahaul hai

ik khilaune ke barabar haisiyat hai jaan ki

ab dukan bazar men ahl-e-ḳhirad ki band hai

ab ijara-dari hai dana.i par nadan ki

main ne ye sachcha.i jaani hai bahut khone ke ba.ad

dosti achchhi nahin hoti kabhi nadan ki

zindagi ki mushkilon ka hal hai apna hausla

kuchh usi se hoti hai kheti hari arman ki

zor-e-batil ko zamane men mayassar hai farogh

aabru ḳhatre men hai ab sahib-e-iman ki

zinda rahna aaj kal ‘ḳhushtar’ bahut dushvar hai

bala-dasti aaj dekhi jaati hai balvan ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ruh Ke Jalte KHarabe Ka Mudawa Bhi Nahin

Haqaeq Ko Bhulana Chahte Hain

Pahli Bar Wo KHat Likkha Tha

Chand Gile Bhula Diye Chand Se Darguzar Kiya

Kis Dasht-E-Talab Mein Kho Gae Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet