duniya agar jala.egi to kya jalunga main
haan tum jala rahe ho to achchha jalunga main
ashkon ki vo kami ki badan ḳhushk ho chuka
is baar jal uThunga to saara jalunga main
tum jal nahin sake to hava.en hi rok lo
kab tak in andhiyon men akela jalunga main
huun ashk-bar mujh ko abhi mat jala.iye
hoga dhuan ziyada jo giila jalunga main
ab aise kya bata.un ye andaza hai mira
barsat ke hisab se ḳhasa jalunga main
Leave a Reply