teri rahmat ne kar diya gustaḳh
”varna pahle to main na tha gustaḳh
aap jo kuchh kahen sar ankhon par
aur main ne jo kuchh kaha gustaḳh
saf-goi se kaam leta huun
tum ne mujh ko samajh liya gustaḳh
kaaT dete vo kyuun na haath mira
un ke daman pe baḌh chala gustaḳh
khul ga.i aankh ab to ai nargis
aur un se nazar mila gustaḳh
munh pe kahte use nahin banta
varna ‘sarshar’ hai baḌa gustaḳh
Leave a Reply