• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Bahut Hi Saf-O-Shaffaf Aa Gaya Taqdir Se Kaghaz

Bahut Hi Saf-O-Shaffaf Aa Gaya Taqdir Se Kaghaz

poet

bahut hi saf-o-shaffaf aa gaya taqdir se kaghaz

tumhare vaste laaya huun main kashmir se kaghaz

hua hai abru-e-janan se dil-e-betab sad-para

muqabil ho nahin sakta dam-e-shamshir se kaghaz

agar lohe ke gumbad men rakhenge aqraba un ko

vahin pahunchaega ashiq kisi tadbir se kaghaz

miri qismat likhi jaati thi jis din main agar hota

uda hi leta dast-e-katib-e-taqdir se kaghaz

bhala saada varaq par likhta kya rangin-mizajon ko

munaqqash kar liya tha pahle hi taqdir se kaghaz

kuchh us khushbu ki had bhi hai moattar ho gaya bilkul

mire hathon men vasf-e-gesu-e-shabgir se kaghaz

adu ka khat hai ya taaviz hai jo yuun hai siine par

ye kyuun rakkha gaya hai izzat-o-tauqir se kaghaz

khat-e-taqdir se behtar main samjhun is ko duniya men

tu likhva laae gar qasid but-e-be-pir se kaghaz

bata zalim mire qasid ne tera kya bigada tha

jo le kar phaad daala dast-e-be-taqsir se kaghaz

mire haath aa gaya ‘parvin’ adu ke naam ka khat tha

gira tha rah men jo dast-e-but-e-be-pir se kaghaz

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Guftugu Kyun Na Karen Dida-E-Tar Se Baadal

aftab-hussain

Maqam-e-Shauq Se Aage Bhi Ek Rasta Nikalta Hai

poet

Thi Qahr-E-Sadgi Bhi Sanwarne Se Peshtar

Nam Aankhon Mein Kya Kar Lega Ghussa Dekhenge

poet

Firaq-O-Hijr Ke Lamhe Jo Tal Gae Hote

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet