Talne se vaqt kya Talta raha
astin men saanp ik palta raha
maut bhi leti rahi apna ḳhiraj
karobar-e-zist bhi chalta raha
koi to sancha kabhi aa.ega raas
main har ik sanche men yuun Dhalta raha
shahar ke saare mahal mahfuz the
tera mera ashiyan jalta raha
zindagi men aur sab kuchh tha hasin
apna hona hi mujhe khalta raha
bujh ga.e tahzib-e-nau ke sab charagh
ek miTTi ka diya jalta raha
arzuen ḳhaak men milti rahin
naḳhl-e-ulfat phulta phalta raha
ban ke sone ka hiran tera vajud
mere mahsusat ko chhalta raha
raat bhar suuni rahi birhan ki sej
aur angan men diya jalta raha
zikr-e-haq bhi tha baja ‘sahir’ magar
mai-kashi ka daur bhi chalta raha
Leave a Reply