talḳhiyan rah ja.engi lafz-e-vafa rah ja.ega
darmiyan iḳhlas ke phir ik ḳhala rah ja.ega
hadsat-e-zindagi par ghaur karna chahiye
chhuT ja.ega nivala sab paḌa rah ja.ega
anganon ke darmiyan divar jo uTh ja.egi
dhuup men apna koi bahar khaḌa rah ja.ega
din ke hangame men gum ho ja.ega mera vajud
aa.ine men mujh sa koi dusra rah ja.ega
is masafat ki kabhi takmil mumkin hi nahin
aane jaane ka faqat ik silsila rah ja.ega
dekh kar makruh sazish gaanv ki dahliz tak
sochta huun main ‘nizami’ kya bacha rah ja.ega
Leave a Reply