guman ke liye nahin yaqin ke liye nahin
ajiib rizq-e-khvab hai zamin ke liye nahin
khayal jo qadam-kusha hai tere la-shuur men
ghazal hai magar sabuktagin ke liye nahin
havaen gosh-bar-sada hain kis ke baab men khamosh
nahin diye ki aya-e-mubin ke liye nahin
use chhupao kushtagan ke dil men raaz ki tarah
ye tegh-e-abdar astin ke liye nahin
main ek budhe falsafi ke khvab ka amiin huun
mire labon ki sakht angbin ke liye nahin
kamand ko kaman ko abhi se tah na kijiye
ki ye shikar ke liye hain ziin ke liye nahin
jo tiir ud chala hai vo mire liye hai ‘shahryar’
yasar ke liye nahin yamin ke liye nahin
Leave a Reply