talash-e-rah men raahi kahan kahan na gaya
talab jahan ki use thi kabhi vahan na gaya
yahan se aage kahin phir ye karvan na gaya
ki mere ghar se to bahar kabhi dhuan na gaya
ulajhti rah ga.iin maujon se kashtiyan apni
hava thi tez magar zor-e-badban na gaya
use andheron ki pahchan kya hui logo
charagh jis ka havaon ke darmiyan na gaya
har ek ḳhitta-e-maqtal men the khile ghunche
mire lahu ka koi qatra ra.egan na gaya
Leave a Reply