zinda huun aur hijr ka azar tak nahin
vo kaam kar raha huun jo dushvar tak nahin
ab main huun aur tujh ko manane ki justuju
kuchh bhi nahin hai raah men pindar tak nahin
ya.ani mira vajud hi mashkuk ho gaya
ab to main apne-ap se bezar tak nahin
dil bhi thakan se chuur hua aur dimagh bhi
aur asman pe sub.h ke asar tak nahin
iqrar kar ke us ko nibhana kise nasib
is umr men to mohlat-e-inkar tak nahin
thi jis ki por por miri lams-ashna
ab yaad us ke gesu-o-ruḳhsar tak nahin
is be-karan ḳhala men nigahon ko kya karun
ab to nazar ke samne divar tak nahin
Leave a Reply