talash-e-kaun-o-makan hai na la-makan ki talash
ye zindagi hai gham-e-ishq-e-javedan ki talash
isi zamin ko hamen asman banana hai
hamen nahin hai kisi aur asman ki talash
kisi ko manzil-e-ishrat ka gham hai aur mujhe
hui hai manzil-e-ishrat pe karvan ki talash
ye ḳhvab hai ki hai tabir-e-ḳhvab ai gham-e-dil
har ik qadam hai yahan umr-e-ra.egan ki talash
bahar-e-lala-o-gul barq-e-be-aman nikli
kahan kahan na rahi mere ashiyan ki talash
jo ho sake to mira gham hi javedan ho jaa.e
‘jamal’ mujh ko nahin aish-e-javedan ki talash
Leave a Reply