tahayyur hai bala ka ye pareshani nahin jaati
ki tan dhakne pe bhi jismon ki uryani nahin jaati
yahan ahd-e-hukumat ijz ka kis taur aa.ega
ki taj-o-taḳht ki fitrat se sultani nahin jaati
bujhe suraj pe bhi angan mira raushan hi rahta hai
dahakte hon agar jazbe to tabani nahin jaati
muqaddar kar le apni si ham apni kar guzarte hain
muqaddar se ab aise haar bhi maani nahin jaati
agar aata huun sahil par to andhi gher leti hai
samundar men utarta huun to tughyani nahin jaati
ye kaise khurdure mausam guzar aaya huun main ‘anjum’
ki ḳhud mujh se hi meri shakl pahchani nahin jaati
Leave a Reply