main jahan tha vahin rah gaya ma.azarat
ai zamin ma.azarat ai ḳhuda ma.azarat
kuchh batate hue kuchh chhupate hue
main hansa ma.azarat ro diya ma.azarat
ḳhud tumhari jagah ja ke dekha hai aur
ḳhud se ki hai tumhari jagah ma.azarat
jo hua jaane kaise hua kya ḳhabar
jo kiya vo nahin ho saka ma.azarat
main ki ḳhud ko bachane ki koshish men tha
ek din main ne ḳhud se kaha ma.azarat
mujh se girya mukammal nahin ho saka
main ne divar par likh diya ma.azarat
main bahut duur huun shaam nazdik hai
shaam ko do sada shukriya ma.azarat
Leave a Reply