• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tabiat Bujh Gai Jab Se Tere Didar Ko Tarse

Tabiat Bujh Gai Jab Se Tere Didar Ko Tarse

tabi.at bujh ga.i jab se tire didar ko tarse

agar ab niind bhi aati hai uTh jaate hain bistar se

hamen ma.ashuq ko apna banana tak nahin aata

banane vaale a.ina bana lete hain patthar se

zaban se aah nikli dil se naala ankhon se aansu

magar ik teri dhun hai jo nikalti hi nahin sar se

are nadan sachcha chahne vaala nahin milta

vo laila thi ki jis ko mil gaya majnun muqaddar se

milan-sari bhi sikho jab nigah-e-naz paa.i hai

miri jaan aadmi aḳhlaq se talvar jauhar se

ḳhuda ki shaan matlab-ashna aise bhi hote hain

buton ne ban ke but sajda karaya pahle but-gar se

safi’ ko muskura kar dekh lo ghusse se kya hasil

use tum zahr kyon dete ho jo marta hai shakkar se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Saneha Ye Bhi Ek Roz Kar Jaunga

Hawadis Par Na Ai Nadan Nazar Kar

Sheikh Saadi

Bar Sarir-e-dil-e-Shaham Shauqat-e-Gada In Ast

poet

Bikhar Rahi Hai Jo Quwwat Wo Phir Munazzam Ho

poet

Dikhawe Ke Liye Elan-E-Faiz-E-Am Hota Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet