dakhl har dil men tira misl-e-suvaida ho gaya
al-aman ai zulf-e-alam-gir sauda ho gaya
go pada rahta huun ab-e-ashk men misl-e-habab
sozish-e-dil se magar sab jism chhala ho gaya
ai shah-e-khuban tasavvur se tire rukhsar ke
chashm ka parda be-ainihi lal-e-parda ho gaya
farq-e-rindan-o-malaik ab bahut dushvar hai
mai-kada us ke qadam se raushan aisa ho gaya
dana-e-angur akhtar chandni mai maah jaam
nasr-e-taer bat qaraba charkh miina ho gaya
sunte hain taaib hua us but ke ghar jaane se tu
kya tira ‘bimar’ patthar ka kaleja ho gaya
Leave a Reply