rah jaa.e na sha.iba ḳhudi ka
maqsud yahi hai bandagi ka
ik nala-e-be-sada tha jis ne
paigham diya hamen ḳhushi ka
hairani-e-chashm-e-dil baḌha di
allah re sitam ye agahi ka
rusva thi chaman men nik.hat-e-gul
anjam ye tha shaguftagi ka
ai sahib-e-hosh rafta rafta
aa.ega shu.ur sarḳhushi ka
kya shai hai ye mai-kada ki jis men
aalam hai tamam tishnagi ka
ai nala-e-andalib bas kar
dil TuuT gaya kali kali ka
Leave a Reply