koshishen kar ke dil bura kiya tha
us parinde ko jab riha kiya tha
kam aziyyat men jaan chhuT ga.i
apne qatil se mashvara kiya tha
ḳhaak se jitna zahr jazb kiya
apni shaḳhon se runuma kiya tha
main ne ik din biTha ke bachchon ko
apne ajdad ka gila kiya tha
ham se sarzad hua tha kar-e-ḳhair
kya bata.en ki ham ne kya kiya tha
vaise vo meri dastaras men hai
ehtiyatan muhasara kiya tha
Leave a Reply