tabah kar ke har ik naqsh-e-jism-o-jan ham ne
bana diya hai mohabbat ko javedan ham ne
ghalat-ravi pe tiri tabsira muhal na tha
tira lihaz kiya mir-e-karvan ham ne
hamare dida-e-be-ab ko na ta.ane do
luTa diya hai sitaron ka ik jahan ham ne
haTi haTi se tavajjoh ye ahl-e-mahfil ki
badal diya hai kahin rang-e-dastan ham ne
sitam kiye hain bahut dil pe ye haqiqat hai
ayaan na kar ke vafur-e-gham-e-nihan ham ne
na-jane raz-e-mohabbat ka hashr kya hoga
bana liye hain ka.i apne raz-dan ham ne
nigah sirf tahayyur havas varafta
liya tha jazb-e-mohabbat ka imtihan ham ne
na jaane kaun si aafat ‘nasir’ ho nazil
agar chaman men kiya zikr-e-ashiyan ham ne
Leave a Reply