surma.i shaam hai mausam hai suhana aana
is se pahle ki main ho ja.un fasana aana
mujh se pahle hi ka.i log ḳhafa rahte hain
mujh se jal jaa.e zara aur zamana aana
ik tira husn gulabon sa ghazal surat hai
ik ye savan ka mahina hai suhana aana
roz kahte ho mujhe aaj to ye hai vo hai
aaj duniya se koi kar ke bahana aana
aḳhiri jang main laḌne ke liye nikla huun
phir rahe ya na rahe tera divana aana
log kahte hain tujhe bhuul ke bhi zinda rahun
main ne puchha tha magar dil nahin maana aana
log to log hain jo chahe vo kah sakte hain
tu to mera hai mire dil ko dukha na aana
tu bhi shamshir-e-badan mast-ada tir-e-nigah
main bhi baiTha huun ki ho ja.un nishana aana
dushman-e-jan samajhta hai ki tanha huun main
main ne dushman ko batana hai ki na na aana
muskurata huun magar Dar hai kisi mahfil men
ashk ankhon se na ho jaa.en ravana aana
vo jo ma.asum sa sha.ir hai ‘mubarak’ ‘ahmad’
us ka duniya men faqat tu hai ḳhazana aana
Leave a Reply