surḳh suraj shaam ka singhar hai
buḌhi ankhon par dhundalka baar hai
ek menDak tajribe ki mez par
mushta.il kitna hi ho be-kar hai
zehn par chadar dhuen ki tan ga.i
dhund men Duuba hua sansar hai
murta.ish lahron pe raqsan chandni
meri sanson men ajab jhankar hai
vadiyon men surḳh phulon ki bahar
sabz ankhon ke liye kohsar hai
sang-o-ahan isti.are hain faqat
har taraf to ret ki divar hai
raat kya ḳhvabon pe phir TuuTa azaab
aaj kyon har aadmi aḳhbar hai
Leave a Reply