surat-e-sahar ja.un aur dar-ba-dar ja.un
ab to faisla Thahra raat se guzar ja.un
vahimon ke zindan ka zehn zehn qaidi hai
bol fikr-e-tabinda main kidhar kidhar ja.un
meri na-rasa.i se qafila na ruk jaa.e
main ki pa-shikasta huun raste men mar ja.un
ishq ki sadaqat par jabki mera iman hai
kaise ḳhud-kushi kar luun kyuun bikhar bikhar ja.un
Leave a Reply