suraj saara shahr darata rahta hai
pathrili sadkon pe dariya pyasa hai
niind hamari bhiid men hansti rahti hai
jangal apni khamoshi men uljha hai
dharti aur akash ki duniya men jivan
do tufanon men qaidi kashti sa hai
hava parindon ko le kar kis des gai
maidanon men pedon ka sannata hai
raton ki sargoshi banti huun ‘anjum’
khvabon men badal sa udta rahta hai
Leave a Reply