• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko

Suraj Hun Chamakne Ka Bhi Haq Chahiye Mujhko

suraj huun chamakne ka bhi haq chahiye mujh ko

main kohr men lipTa huun shafaq chahiye mujh ko

ho jaa.e koi chiiz to mujh se bhi ibarat

likhne ke liye saada varaq chahiye mujh ko

ḳhanjar hai tu lahra ke mire dil men utar ja

hai aankh ki ḳhvahish ki shafaq chahiye mujh ko

ho vahm ki dastak ki kisi paanv ki aahaT

jiine ke liye kuchh to ramaq chahiye mujh ko

har baar miri raah men haa.il ho naya sang

har baar koi taaza sabaq chahiye mujh ko

jo kuchh bhi ho baaqi vo mire haath pe likh de

mazmun bahar-taur adaq chahiye mujh ko

jo zehn men tasvir hai kaghaz par utar aa.e

duniya men numa.ish ka bhi haq chahiye mujh ko

har phuul ke siine men gul-e-sang ho ‘sajid’

har sang men ik rang-e-qalaq chahiye mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

allama-iqbal

Mata-E-Be-Baha Hai dard-O-Soz-E-Arzumandi

saDak Pe dauDte Mahtab Dekh Leta Hun

hatim-ali-mehr

Na diya Bosa-E-Lab Kha Ke Qasam Bhul Gae

Baat Phulon Ki Suna Karte The

Muqarrebin Mein Ramz-Ashna Kahan Nikle

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet