suraj chaḌha to dil ko ajab vahm sa hua
dushman jo shab ko maara tha vo uTh khaḌa hua
bikhri hui hai ret nadamat ki zehn men
utra hai jab se jism ka dariya chaḌha hua
zulfon ki abshar sirhane pe gir paḌi
khola jo us ne raat ko joḌa bandha hua
nikla karo pahan ke na yuun muḳhtasar libas
paḌh lega koi lauh-e-badan par likha hua
ik shaḳhs jis se mera ta.aruf nahin magar
guzra hai baar baar mujhe dekhta hua
Leave a Reply