mohabbat ke sabhi jazbe tumhare naam karti huun
vafa ke dil-nashin qisse tumhare naam karti huun
banaya hai jinhen main ne mohabbat ke gulabon se
tar-o-taza vo gul-daste tumhare naam karti huun
nahin kuchh aur paane ki tamanna ab mire dil men
jo dekhe aaj tak sapne tumhare naam karti huun
tumhen ji men basaya hai tumhen apna banaya hai
main apni zaat ke hisse tumhare naam karti huun
unhen meri mohabbat ki nishani tum samajh lena
likhe hain main ne jo naghme tumhare naam karti huun
kaha gul ne aqidat se vatan ki chuum kar miTTi
main apne chand se beTe tumhare naam karti huun
Leave a Reply