honTon Se Lafz Zehn Se Afkar Chhin Le

hoñToñ se lafz zehn se afkār chhīn le

mujh se mirā vasīla-e-iz.hār chhīn le

nasleñ tabāh hoñgī qabīloñ kī jang meñ

jā baḌh ke apne baap se talvār chhīn le

nā-qadriyoñ kī andhī guphā sāmne hai phir

dīmak hī mere haath se shahkār chhīn le

anjām ḳhud-kushī na sahī phir bhī ai nadīm

mujh se mirī kahānī kā kirdār chhīn le

dariyā ke us taraf to akelā nahīñ ‘salīm’

tujh ko jo chhīnñā ho isī paar chhīn le

Leave a Comment