apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai
raat hai lekin mire lab par sahar ki baat hai
ashiyan ke saath puuri zindagi badli ga.i
kam-nazar samjhe ki musht-e-bal-o-par ki baat hai
ta-abad kitne andhere the ki raushan ho ga.e
sham.a ka jalna ba-zahir raat bhar ki baat hai
zindagi sadiyon ka hasil zindagi sadiyon ka ruup
zindagi jo chashmak-e-barq-o-sharar ki baat hai
manzil ik rah-rav ka thak jaana hai varna zindagi
ik musalsal rahguzar paiham safar ki baat hai
Leave a Reply