vo jis ka rang salona hai badalon ki tarah
gira tha meri nigahon pe bijliyon ki tarah
vo ru-ba-ru ho to shayad nigah bhi na uThe
jo meri aankh men rahta hai ratjagon ki tarah
charagh-e-mah ke bujhne pe ye hua mahsus
nikhar ga.i miri shab tere gesuon ki tarah
vo andhiyan hain ki dil par tumhari yadon ke
nishan bhi miT ga.e sahra ke raston ki tarah
miri nigah ka andaz aur hai varna
tumhari bazm men huun main bhi dusron ki tarah
qarib aa.e to gum-karda-rah dikha.i diye
jo duur se nazar aate the manzilon ki tarah
har ik nazar ki rasa.i nahin ki dekh sake
hujum-e-rang hai ḳharon men bhi gulon ki tarah
na jaane kaise safar ki hai aarzu dil men
main apne ghar men paḌa huun musafiron ki tarah
main dasht-e-dard huun yadon ki nik.haton ka amiin
hava thame to mahakta huun gulshanon ki tarah
damak raha hai jabin-e-davam par farhad
sharar-e-tesha farozan hai mash.alon ki tarah
usi ki dhun men chaTTanon se sar ko Takraya
vo ik ḳhayal ki nazuk tha a.inon ki tarah
Leave a Reply