Kyun Wo Mahbub Ru-Ba-Ru Na Rahe

kyuuñ vo mahbūb rū-ba-rū na rahe

kyuuñ nigāhoñ meñ guftugū na rahe

ishq hai muntahā-e-mahviyyat

aarzū kī bhī aarzū na rahe

zindagī ye ki vo tujhe chāheñ

maut hai ye ki aabrū na rahe

bandagī hai supurdagī-e-tamām

un kī marzī meñ guftugū na rahe

tum jo baiThe ho chhup ke pardoñ meñ

chashm kyuuñ mahv-e-rañg-o-bū na rahe

dil kā har baar hai nayā aalam

kyuuñ ḳhayāloñ meñ guftugū na rahe

chashm-e-sāqī ho mehrbān agar

ḳhvāhish-e-bāda-o-subū na rahe

aañkh vo us ko pā nahīñ saktī

ḳhūn-e-dil se jo bā-vazū na rahe

dost se maan ‘tāj’ vo hastī

jis maiñ kuchh farq mā-o-tū na rahe

Leave a Comment