suḳhan ka us se yaara bhi nahin hai
suḳhan ke bin guzara bhi nahin hai
bayan sheron men ham karte hain jitna
vo is darja to pyara bhi nahin hai
bahut shikve hain us ko zindagi se
magar marna gavara bhi nahin hai
nazar men jitni hairani hai utna
anokha to nazara bhi nahin hai
libas-e-jan tujhe vapas to de duun
magar ik qarz utara bhi nahin hai
nikal aa.e dil-e-viran ki janib
koi qismat ka maara bhi nahin hai
sahara us ka lena paḌ gaya hai
jo ḳhud apna sahara bhi nahin hai
jise ‘zishan’ baḌh kar rokna tha
use main ne pukara bhi nahin hai
Leave a Reply