• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe

Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe

kahan ka sabr sau sau baar divanon ke dil TuuTe

shikast-e-dil ke ḳhadshe hi se na-danon ke dil TuuTe

gire hain TuuT kar kuchh aa.ine shaḳhon ki palkon se

ye kis ki aah thi kyuun shabnamistanon ke dil TuuTe

is ara.ish se to kuchh aur ubhri un ki virani

babulon par bahar aa.i to viranon ke dil TuuTe

vo mahrumi ka josh-e-ḳhvab-parvar ab kahan baaqi

bar aa.iin itni ummiden ki armanon ke dil TuuTe

unhen apne gudaz-e-dil se andaza tha auron ka

jab insanon ke dil dekhe to insanon ke dil TuuTe

qafas se husn-e-gul ke qadr-dan ab tak nahin palTe

shagufon ke tabassum se gulistanon ke dil TuuTe

‘ziya’ apni tabahi par unhen bhi naaz the kya kya

hamen dekha to sahraon bayabanon ke dil TuuTe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Tufan Ki Zad Pe Apna Safina Jab Aa Gaya

ahmad-nadeem-qasmi

Shuur Mein Kabhi Ehsas Mein Basaun Use

Masaib Mein Paiham Safar Kar Rahi Hun

khumar-barabankavi

Haal-E-Gham Un Ko Sunate Jaiye

Fard-E-Isyan Ko Wo Siyahi De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet