bas ab ham se dil-e-shorida-sar dekha nahin jaata
ye taḌpana taḌapna raat bhar dekha nahin jaata
hamen tarkib hi nazara-e-ruḳh ki nahin aati
ki vo hain dekhne ki shai magar dekha nahin jaata
ḳhuda jur.at na de mujh ko kisi din lab-kusha.i ki
ki mujh se nala-e-mahrum-asar dekha nahin jaata
ḳhuda ne sharm rakh li zauq-e-nazara ki mahfil men
na jaane kya sitam hota agar dekha nahin jaata
kisi goshe men dil ke DhunD us ke husn-e-yakja ko
vo sham.a-e-shauq le kar dar-ba-dar dekha nahin jaata
baḌi muddat se paida kar raha huun shauq-e-nazzara
ba-itminan-e-dil ab bhi udhar dekha nahin jaata
nahin malum ‘qaisar’ ishq hi itna bura kyon hai
meri samt un se jab ki ik nazar dekha nahin jaata
Leave a Reply