samundaron men agar ḳhalfishar-e-ab na ho
saron pe saya-fagan ye ghubar-e-ab na ho
vo asman samajhta hai apni ankhon ko
use bhi meri tarah intizar-e-ab na ho
har ek lab pe hain naghmat ḳhushk-sali ke
ab is taraf karam-e-be-shumar-e-ab na ho
kahin fareb na nikle pukar dariya ki
ham aab samjhe hain jis ko ghubar-e-ab na ho
phir ehtimam se aa.e hain ghir ke abr magar
vo kya kare ki jise e’tibar-e-ab na ho
siyah hone laga hai dayar-e-tishna-labi
ab is maqam se raushan sharar-e-ab na ho
jo ghar se nikla hai paani ki khoj men ‘shahid’
kahin vo dafn sar-e-rahguzar aab na ho
Leave a Reply