ḳhayal jaan se baḌh kar safar men rahta hai
vo meri ruuh ke andar safar men rahta hai
jo saare din ki thakan oḌh kar main sota huun
to saari raat mira ghar safar men rahta hai
janam janam se miri pyaas sar paTakti hai
janm janm se samundar safar men rahta hai
mira yaqin karo us ke paanv men til hai
isi liye vo barabar safar men rahta hai
main dil hi dil men jise pujne laga huun bahut
vo devta nahin patthar safar men rahta hai
Leave a Reply