bhulata huun magar gham ki daraḳhshani nahin jaati
vo a.ina muqabil hai ki hairani nahin jaati
nigah-e-shauq se ta-der hairani nahin jaati
shabab aaya to zalim shakl pahchani nahin jaati
tujhe dekhun ki tere iltifat-e-narm ko samjhun
mohabbat bhi tire jalvon men pahchani nahin jaati
sahab o sail dho sakte nahin gard-e-falakat ko
bahar aa.i magar duniya ki virani nahin jaati
kahan tak saath de sakti hain ankhen sozish-e-dil ka
bahut roya magar gham ki giran-jani nahin jaati
javani ko gunahon se alag karna nahin mumkin
ye vo mai hai jo fart-e-kaif se chhani nahin jaati
mohabbat tar-tar-e-pairahan kar apne kanTon se
ki in phulon se meri tang-damani nahin jaati
‘nushur’ is vaqt bhi duniya asir-e-mulak-o-daulat hai
abhi fikr o nazar ta-hadd-e-insani nahin jaati
Leave a Reply