• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Suniye Payam-E-Shams-O-Qamar Raqs Kijiye

Suniye Payam-E-Shams-O-Qamar Raqs Kijiye

suniye payam-e-shams-o-qamar raqs kijiye

is da.ere men sham-o-sahar raqs kijiye

pakizgi faza ki tarannum nasim ka

kya chandni hai pichhle pahar raqs kijiye

taali baja rahe hain shagufe na.e na.e

avaz de rahe hain shajar raqs kijiye

kya chhup-chhupa ke chhat ke tale naach men maza

uryan nikal ke dar se badar raqs kijiye

ji chahta hai aaj farishton se bhi kahun

parvaz kya hai khinch ke par raqs kijiye

fursat nahin faqih ko zar ki talash se

mutlaq na kiije ḳhauf-o-ḳhatar raqs kijiye

gar iztirar qabil-e-tazir hai to ho

hai apne bas men ḳhair na shar raqs kijiye

dozaḳh jala ke dard ka aur agahi ki aag

donon ke darmiyan utar raqs kijiye

tanha.iyon ke giit na sab ko suna.iye

paanv mila ke joḌ ke sar raqs kijiye

mat puchhiye ki pyaar ka anjam kya hua

pyara chala gaya hai kidhar raqs kijiye

manind-e-qais ret na sahra ki chhaniye

kis ko mili hai kis ki ḳhabar raqs kijiye

kiije tavaf-e-kucha-e-janan ko tez-tar

muzmar hai is men sair-o-safar raqs kijiye

‘sayyad’ qarar ko to paḌi hai tamam umr

ik aur bhi ghazal hai agar raqs kijiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-hameedi

Kahte Hain Hum Udhar Hain Sitara Hai Jis Taraf

Kuchh Safine Hain Jo Gharqab ikaTThe Honge

abroo-shah-mubarak

dekh Tu Be-Rahm Aashiq Nin Tujhe Chhoda Nahin

kaifi-azmi

Nazrana

Sar Ko Bachate Ya Dar-O-Diwar Bechte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet