sukun-o-sabr ki duniya men naam karta ja
jo ho saka na kisi se vo kaam karta ja
nigah pher ke ja shauq se ḳhuda-hafiz
kisi gharib ka qissa tamam karta ja
tasavvurat men aa aa ke bhagne vaale
bahisht-e-qalb-o-nazar men qayam karta ja
guzar dunga tire intizar ki ghaḌiyan
mujhe asir-e-gham-e-sub.h-o-sham karta ja
‘hayat’ ne to faqat tujh se dil lagaya tha
ye kab kaha tha ki jiina haram karta ja
Leave a Reply