ḳhvahish ko apne dard ke andar sameT le
pardaz bar-e-dosh hai tu par sameT le
apni talab ko ghair ki dahliz par na Daal
vo haath khinch gaya hai tu chadar sameT le
surḳhi tulu-e-sub.h ki lauh-e-ufuq pe likh
saare badan ka ḳhuun jabin par sameT le
yakja nahin kitab-e-hunar ke varaq hanuz
ayyam-e-harf-harf ka daftar sameT le
jo peḌ hil chuke hain unhen andhiyon pe chhoḌ
shayad hava ye raah ke patthar sameT le
zinda lahu to shahr ki galiyon men hai ravan
‘shahid’ ragon men kaun ye mahshar sameT le
Leave a Reply