suKHan Ke Chaak Mein Pinhan Tumhaari Chahat Hai

suḳhan ke chaak meñ pinhāñ tumhārī chāhat hai

vagarna kūza-garī kī kise zarūrat hai

zamīñ ke paas kisī dard kā ilaaj nahīñ

zamīn hai ki mire ahd kī siyāsat hai

ye intizār nahīñ sham.a hai rifāqat kī

is intizār se tanhā.ī ḳhūb-sūrat hai

maiñ kaise vaar duuñ tujh par mire sitāra-e-shām

ye harf-e-ḳhvāb to ik chāñd kī amānat hai

maiñ ḳhāk-e-ḳhvāb palak se jhaTakne vaalā thā

patā chalā ki yahī hāsil-e-masāfat hai

ye mustatīl sā ḳhāka ki jis ko ghar kahiye

usī ke dā.era o dar meñ merī jannat hai

ye ḳhosha-chīni-e-ḳhvān-e-anīs hai ‘arshad’

namak namat jo mire sher meñ fasāhat hai

Leave a Comment