sub.h main sau kar uTha khaya piya kal ki tarah
zindagi pyari thi mujh ko ji liya kal ki tarah
jo mila hans kar mile us se ḳhuda-hafiz kaha
aaj bhi jaari rahi mashq-e-riya kal ki tarah
ham ne apne ji men Thani aur ye kahte hue
jo na karna tha vahi sab kar liya kal ki tarah
aaj bhi kahte hain mujh ko log achchha aadmi
aaj bhi ban kar raha huun bahrupiya kal ki tarah
ḳhud se milne ke liye tanha.i kitni chahiye
aaj bhi paaya na main ne taḳhliya kal ki tarah
piir ruumi aaj phir nikle hain kis ki khoj men
apne hathon men liye jalta diya kal ki tarah
Leave a Reply