kuchh bhi ho taqdir ka likkha badal
chahiye tujh ko ki ab rasta badal
ba.ad men mujh ko dikhana aa.ina
pahle apna ja ke tu chehra badal
agahi ka jis men ik rauzan na ho
us makan-e-zat ka naqsha badal
meri vahshat hai siva is se kahin
barha us se kaha sahra badal
ne.amaten duniya ki sab mil jaati hain
maan nahin milta magar tera badal
phir raha hai kyuun tahi-kasa liye
baar jo shanon pe hai rakkha badal
TuTi-phuTi baan ka kya aasra
asman sar par uTha khatiya badal
rasm-e-duniya yuun badal sakti nahin
kab ‘sahar’ tujh se kaha tanha badal
Leave a Reply