khul ga.i khiḌki achanak phir bhi mujh ko Dar na tha
ab miri ankhon men koi raat ka manzar na tha
bah raha tha chaar su ik ret ka dariya magar
jis jagah par main khaḌa tha rasta banjar na tha
shahr ke saare makan lagne lage hain ek se
jis makan men bhi gaya dekha mera vo ghar na tha
yaad jab karne laga tab rang-e-mausam bhi khula
log kahte the ki tughyani bhara sagar na tha
raste ‘premi’ sabhi kyuun kho ga.e gum ho ga.e
is se pahle itni gahri dhund ka manzar na tha
Leave a Reply