tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta
to dil bhi shaki-e-ta.azir-e-ḳhanjar ho nahin sakta
main tark-e-bada-noshi ke liye muddat se koshan huun
magar ye kaam puura qabl-e-mahshar ho nahin sakta
bula kar baat puchhen ru-ba-ru apne to ro dena
dala.el ka asar kuchh is se behtar ho nahin sakta
shikayat tujh se kya saaqi ki hai taḳhir ka aadi
sitam duniya men lekin is se baḌh kar ho nahin sakta
sukun-o-zabt ki to ham-nashin main intiha kar duun
magar mujh ko vo yusuf ab mayassar ho nahin sakta
pila.e ja ki main mad.hosh ho ja.un to tu maane
ki mai-noshi men koi mujh se baḌh kar ho nahin sakta
suḳhan-sazi men lazim hai kamal-e-ilm-o-fan hona
mahz tuk-bandiyon se koi sha.er ho nahin sakta
hunar-mandon ki har majlis se ye avaz aati hai
ki nadan ka koi duniya men ‘rahbar’ ho nahin sakta
Leave a Reply