mohabbaton men kabhi ye asar nazar aa.e
vo ek baar dikhe umr bhar nazar aa.e
jo sar jhuka.un to pairon men beḌiyan dekhun
jo sar uTha.un to neze pe sar nazar aa.e
sukun DhunDte thak ja.un aur aḳhir-kar
vo tang galiyon men miTTi ka ghar nazar aa.e
na manzilon ka pata hai na raston ki ḳhabar
bhaTakti ankhon ko ab rahbar nazar aa.e
yahi to nauha hai furqat-zada in ankhon ka
payam-e-yar mile nama-bar nazar aa.e
tabhi to manun ki haan us ko bhi mohabbat hai
jab us ki ankhon men furqat ka Dar nazar aa.e
mujh aisa bazm men koi to sar-ba-zanu ho
in hanste chehron men ik chashm-e-tar nazar aa.e
Leave a Reply