• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hath Aata to Nahin Kuchh Pa Taqaza Kar Aaen

Hath Aata to Nahin Kuchh Pa Taqaza Kar Aaen

haath aata to nahin kuchh pa taqaza kar aa.en

aur ik baar gali ka tiri phera kar aa.en

niind ke vaste vaise bhi zaruri hai thakan

pyaas bhaḌka.en kisi saa.e ka pichha kar aa.en

lutf deti hai masiha.i par itna bhi nahin

josh men apne hi bimar ko achchha kar aa.en

log mahfil men bulate hue katrate the

ab nahin dhaḌka ye ḳhud se ki kahan kya kar aa.en

kaash mil jaa.e kahin phir vahi a.ina-sifat

naqsh be-rabt bahut hain inhen chehra kar aa.en

kitni asani se ham us ko bhula sakte hain

bas kisi tarah use dusron jaisa kar aa.en

ye bhi mumkin hai ki ham haar se bachne ke liye

apne dushman ke kisi vaar men hissa kar aa.en

baat maazi ko alag rakh ke bhi ho sakti hai

ab jo halat hain un par kabhi charcha kar aa.en

ye bata kar ki ye raunaq to zara der ki hai

sahib-e-bazm ke haijan ko ThanDa kar aa.en

kya vajud us ka agar koi tavajjoh hi na de

ham ki jab chahen use bhiiḌ ka hissa kar aa.en

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Izn-E-Jast Faqat Ek Bahana Hota Hai

Piyun Hi Kyun Jo Bura Jaanun Aur Chhupa Ke Piyun

majrooh-sultanpuri

Ahl-E-Tufan Aao dil-Walon Ka Afsana Kahen

Yarab Wo Waqt aaKHiri Waqt-E-Dua Bhi Ho

Bin Mausam Ke Pani Barse Sawan Sawan Dhup

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet