• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Subh-dam Uth Kar Tera Pahlu Se Jaana Yaad Hai

Subh-dam Uth Kar Tera Pahlu Se Jaana Yaad Hai

poet

subh-dam uth kar tira pahlu se jaana yaad hai

lotna dil ka jigar ka phadphadana yaad hai

yaar tha pahlu men shishe ki pari thi samne

kyuun dil-e-nalan tujhe vo bhi zamana yaad hai

sun ke ahval-e-mohabbat ko mira bola vo shokh

jaan dene ka tujhe achchha bahana yaad hai

lot tha dil qamat-e-dildar par muddat hui

nakhl-e-tuba par tha apna ashiyana yaad hai

kaun dekhe khanda-e-gul ki taraf ai andalib

ek muddat se kisi ka muskurana yaad hai

kya dikhata hai falak abr-e-siyah men ru-e-mah

ham ko balon men kisi ka munh chhupana yaad hai

ho muqabil nala-e-dard-e-dil-e-ushshaq ke

baghban bulbul ko aisa bhi tarana yaad hai

hijr ki shab niind aae ashiq-e-bimar ko

‘muntahi’ tujh ko koi aisa fasana yaad hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shikwa Zaban Se Na Kabhi Aashna Hua

Bas Ab Tark-E-Talluq Ke Bahut Pahlu Nikalte Hain

Soch Mein Gum Be-Karan Pahnaiyan

KHamoshiyon Mein Bahut Se Sawal Laya Hai

Na Paniyon Ka Iztirar Shahr Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet