mujhe daraya gaya tha
bachpan men ek aaseb se
vo aseb!
jis ka phulon ke biich ghar tha
vo shokh phulon ki chhanv men palne vaali khushbu ka ham-safar tha
mujhe daraya gaya tha lekin
tavil garmi ki har suhani si dopahar ko
main apni maan ki nazar bacha kar
gulabi nindon ki reshmi ungliyan chhuda kar
dahakte phulon ke darmiyan khelti thi pahron
ajiib din the
ki un dinon men
dahakte phulon ke biich khushbu ke ham-safar se
miri mulaqat jab hui thi
main dar gai thi
ki mujh men bachpan se ajnabi khauf pal raha tha
mujhe bhi aaseb ho gaya tha
magar ye aseb!
ab to mujh men utar raha hai
hasin phulon ke biich khvabon ke sabz mausam men
us ke hathon men haath daale
main khushbuon ki tarah havaon men ud rahi huun
Leave a Reply