• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Sozish-E-Shola-E-Furqat Se Fana Ho Jaana

Sozish-E-Shola-E-Furqat Se Fana Ho Jaana

poet

sozish-e-shola-e-furqat se fana ho jaana

maraz-e-gham ke liye hai ye dava ho jaana

sahl hai navak-e-mizhgan ka qaza ho jaana

ghamza-e-chashm ka asan hai jafa ho jaana

aarzu tujh se ye kahta huun shab-e-furqat men

khud dua hona kabhi dast-e-dua ho jaana

surat-e-khak-e-gulistan men na rahna ai dil

misl-e-bu daman-e-gulshan se juda ho jaana

daagh ban kar to raha daman-e-qatil pe magar

bu-e-khun bahr-e-khuda bu-e-vafa ho jaana

be-qarari se to rahat ho koi dam hasil

jism se jan-e-hazin jald juda ho jaana

shab-e-gham dil se ‘jamila’ ne yahi ro ke kaha

mil ke mitti men to naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-aziz-khalid

Phuli Hai Shafaq Go Ki Abhi Sham Nahin Hai

Shahr-E-Tarik Ko Sapnon Ka Nagar Hone Tak

abdul-wahab-sukhan

Nae Uslub Mein Zinda Hue Hain

Sufi

Ai Ki dar Zahir Mazahir Aashkara Karda-I

poet

Kya Bataen Tumhein Kahan dil Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet