na saath dega koi raah ashna mera
juda hai saare zamane se rasta mera
guzar ke aai huun main gham ke regzaron se
nazar udaas hai dil hai dukha hua mera
na jaane kis liye qatil ke ashk bhar aae
faraz-e-dar pe jab samna hua mera
dayar-e-jan men farozan rahegi sham-e-hayat
samajh liya tiri ankhon ne muddaa mera
kiya hai pesh tujhe ansuon ka nazrana
hujum-e-sham-e-alam aur dil jala mera
vo saneha mire dil par guzar gaya ‘gulnar’
har ek harf-e-dua be-sada hua mera
Leave a Reply