sochta huun ki haal kya hoga
gham tira dil se jab juda hoga
mera gham sun ke aur kya hoga
fitna-gar muskura diya hoga
ḳhub-ru bevafa bahut dekhe
koi tum sa na bevafa hoga
le chala hai dil un ki mahfil men
nahin ma.alum hashr kya hoga
kar bhala.i ko aam duniya men
ki bhala.i ka phal bhala hoga
fasl-e-gul ki na baat kar ai dost
josh-e-vahshat mira siva hoga
ma-siva saghar-o-subu ke ‘naresh’
aur rindon ke paas kya hoga
Leave a Reply